ye kya tilism hai duniya pe bar guzri hai wo zindagi jo sar-e-rahguzar guzri hai gulon ki gum-shudagi se suragh milta hai kahin chaman se nasim-e-bahaar guzri hai kahin sahar ka ujala hua hai ham-nafaso ki mauj-e-barq sar-e-shakh-sar guzri hai raha hai ye sar-e-shorida misl-e-shola buland agarche mujh pe qayamat hazar guzri hai ye hadisa bhi hua hai ki ishq-e-yar ki yaad dayar-e-qalb se begana-war guzri hai unhin ko arz-e-wafa ka tha ishtiyaq bahut unhin ko arz-e-wafa na-gawar guzri hai harim-e-shauq mahakta hai aaj tak 'abid' yahan se nikhat-e-gesu-e-yar guzri hai