ye le de ke jine ka hasil hai goya

ye le de ke jine ka hasil hai goya
na kuchh hum ne paya na kuchh hum ne khoya

kuchh is darja manus-e-gham ho chuka hun
wufur-e-masarrat mein ghabra ke roya

kiye hi ka phal hai khushi ho ki gham ho
wahi aaj kata jo kal hum ne boya

koi apne daman ke dhota hai dhabbe
yahan hum ne daman se bhi hath dhoya

udae to dushman ne auron pe chhinte
magar apne daman ka dhabba na dhoya

meri ghaflaton par bhi rahmat hai us ki
mere sath mera muqaddar na soya

'mubarak' ko tum ne to dekha hi hoga
wo ghabraya-ghabraya wo khoya-khoya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close