ye mah-pare to dil ko lubhae jate hain jo gham ke mare hain dil ko ganwae jate hain shab-e-firaq ye aakash se khabar aai ki gham-nasibon se tare ginae jate hain hayat kya hai ki afsana dard-naki ka fasane dard ke har dam sunae jate hain jahan-e-kohna ho ya nau ye wo jahan hai jahan tamashe gham ke hamesha dikhae jate hain agar hain harf-e-ghalat ki tarah nahin hum log jahan ke lauh se phir kyon mitae jate hain ajib haal hai duniya ki bazm ka 'khurshid' qadam qadam pe yahan dil jalae jate hain