ye mez ye kitab ye diwar aur main

ye mez ye kitab ye diwar aur main
khidki mein zard phulon ka ambar aur main

har sham is khayal se hota hai ji udas
panchhi to ja rahe hain ufuq par aur main

ek umr apni apni jagah par khade rahe
ek dusre ke khauf se diwar aur main

sarkar har darakht se bante nahin hain takht
qurban aap par mere auzar aur main

le kar to aa gaya hun mere pas jo bhi tha
ab sochta hun tera kharidar aur main

khushbu hai ek fazaon mein phaili hui jise
pahchante hain sirf sag-e-yar aur main

khoe huon ko dhundne nikla tha aaftab
duniya to mil gai sar-e-bazar aur main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close