ye mujh mein jo be-intiha tanhai hai is dasht ki aab-o-hawa tanhai hai main dard ke naghme sunaunga tumhein tum jaan lena muddaa tanhai hai mujh tak pahunchne ko hai ek rah-e-amal aur jaan lo wo rasta tanhai hai jo bhid mein chehre kahin gum ho gae un se mera ab rabta tanhai hai main us maqam-e-zat tak laya gaya har ibtida har intiha tanhai hai jis ko yahan par kaamyabi mil gai us ki saza tanhai ya tanhai hai