ye musht-e-KHak apne ko jahan chahe tahan le ja

ye musht-e-khak apne ko jahan chahe tahan le ja
par is aalam ko is aalam se mat bar-e-garan le ja

adam se jis tarah tanha chala aaya tha phir wan ko
munasib hai isi surat se surat chhod jaan le ja

kudurat ma-siwa ki dho le khatir-khwah khatir se
ba-juz nam-e-khuda hamrah mat nam-o-nishan le ja

aziz-o-aqriba ne mal-o-milkiyyat ba-kar aawe
kisi ki dosti ki ai dila hasrat na wan le ja

gadai baadshahi bhi masawi waqt marne ke
tayaqqun kar sukhan meri par hargiz mat guman le ja

isi duniya mein duniya se kinara kar jo aaqil hai
mohabbat phir kisi shai ki na sath ai mehrban le ja

na koi le gaya kuchh aur na le jawe koi hargiz
yaqin gor-o-kafan milne pe kya tashkik han le ja

gai bagh-e-jahan se khalq khali hath le par tu
bahaar-e-zindagi se zikr ka gul be-khizan le ja

bakheda yan ka yan par chhod 'afridi' adam aakhir
na ye dard-o-bala ranj-o-alam aah-o-fughan le ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close