ye muskuraate tamam sae hue parae to kya karoge

ye muskuraate tamam sae hue parae to kya karoge
hawa ne jab bhi mere badan ke diye bujhae to kya karoge

tumhaari khwahish pe umr bhar ki judaiyan bhi qubul kar lun
magar batao baghair mere jo rah na pae to kya karoge

wo jin mein mere azab tere sarab ubhre ya khwab dube
wo sare lamhe tumhaari jaanib palat ke aae to kya karoge

baghair dar ke kisi bhi ghar mein ghire hue ho ye farz kar lo
aur aise aalam mein mil sake na jo meri rae to kya karoge

abhi to mere ghilaf hathon mein mutmain hain pe baad mere
jo aandhiyon mein charagh apne ye thartharae to kya karoge

tumhaari aankhon mein aks mera agar na hoga to kaisa hoga
samaaton ke shajar pe panchhi na chahchahae to kya karoge

karoge kya jo mere badan se dhuen ki ek din lakir utthi
lakir se phir hazar chehre nikal ke aae to kya karoge

wo jin khayalon mein rah ke tum se meri bhi pahchan kho gai hai
unhi khayalon ke sab musafir hue parae to kya karoge

ye sochte ho chala gaya wo to chhat pe jaoge kis liye tum
ki ab ke sawan ki barishon mein jo sab nahae to kya karoge

hain dastaras mein abhi bhi 'tahir' utha ke ab is ko pi bhi dalo
mushahidon mein hi ho gai gar ye thandi chae to kya karoge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close