ye na samjho ki faqat hai dil ke bahlane ka nam

ye na samjho ki faqat hai dil ke bahlane ka nam
aashiqi hai ishq mein had se guzar jaane ka nam

chaar din ki zindagi apne liye kafi nahin
aur kuchh lamhon pe likh de apne mastane ka nam

gharq kar de mujh ko apni chahaton ki jhil mein
shama tu hai to mita de apne parwane ka nam

yun dabe panw na mere ghar mein aaya kijiye
warna phir badnam ho jaega diwane ka nam

un ke andaz-e-mohabbat par nazar to daliye
khat mujhe wo bhejte hain likh ke begane ka nam

sirf sajdon se mukammal bandagi hoti nahin
bandagi hai rab ke jalwe samne aane ka nam

chhu nahin sakti gunahgaron ko us ki ungliyan
hai siyasat be-gunahon par sitam dhane ka nam

zindagi ki uljhanon ko taq par rakh dijiye
zindagi hai dil ki dhadkan tez ho jaane ka nam

han zara 'khurshid' in nadan parindon se to puchh
kyon nahin lete hain wo pardes se aane ka nam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close