ye nim-baz teri ankhdiyon ke maikhane nazar mile to chhalak jaen dil ke paimane sharab-e-shauq se bojhal labon ke paimane teri nigah ko aise mein kaun pahchane kahin kali ne tabassum ka raaz samjha hai jo khud chaman hai wo apni bahaar kya jaane jo hosh mein tha to koi na mai-ba-jam aaya bahak gaya hun to duniya chali hai samjhane ajab nahin jo mohabbat mujhe samajh na sake wo ajnabi hun jise zist bhi na pahchane yahin sujud-e-mohabbat ki bastiyan thin kabhi bata rahe hain ye dair-o-haram ke virane kahin charagh jalane ki ho rahi hai sabil bujha rahe hain yahan shama khud hi parwane fareb-e-mashriq-o-maghrib hain rahrawan-e-jadid ye bad-nasib na aaqil hue na diwane wo zinda hai jo bahe mauj-e-waqt ki rau mein wo zinda-tar hai jo tufan mein thairna jaane main apni bazm se itna hi dur hun ki 'nushur' meri nawaon se kuchh aashna hain begane