ye nur-e-sahar rang-e-sahar tak nahin pahuncha yani ki guhar aab-e-guhar tak nahin pahuncha aaram se so jaiye kuchh fikr na kije ye sail-e-rawan aap ke ghar tak nahin pahuncha ab mere mitane ki nai rah nikalo ye tesha-e-afat bhi sar tak nahin pahuncha baj uthte nahin khauf se kyon kan ke parde kya shor-e-qayamat abhi dar tak nahin pahuncha badh kar dil-e-betab ne khud rah dikhai jab qafila-e-umr sahar tak nahin pahuncha majbur-e-masaib ne badi yas se dekha jab nala-e-shab bab-e-asar tak nahin pahuncha be-rah-rawi ki koi had bhi hai 'sharar' aaj barson ka musafir abhi ghar tak nahin pahuncha