ye sar-ba-mohr botalen hain jo sharab ki

ye sar-ba-mohr botalen hain jo sharab ki
raaten hain un mein band hamari shabab ki

puchho na hum se aalam-e-ghaflat ke khwab ki
duniya kuchh aur hi thi hamare shabab ki

ye nashsha aankh dekh ke us mast khwab ki
jaise abhi chadhai ho botal sharab ki

surkhi shafaq ki shakl mah-o-aftab ki
chhalki hui sharab hai jam-o-sharab ki

kyun tutti hain bijliyon par aaj bijliyan
shayad girah khuli tere band-e-naqab ki

mina-o-jam dekh ke khush hoga mohtasib
samjhega wo khili hui kaliyan gulab ki

thi sar-ba-mohr phut gai apne zor mein
tauba se pahle tuti hai botal sharab ki

sharma gain jo bosa-e-lab bagh mein liya
simti hain kya khili hui kaliyan gulab ki

hum ne tamam umr mein kitni sharab pi
shayad bata sake hamein mizan hisab ki

chehre ka rang dekh lo tum rakh ke aaina
bose se daud jaegi surkhi shahab ki

mahfil mein pi jo phul to is ehtiyat se
mina-e-mai ne bu na kabhi di sharab ki

ai kasrat-e-gunah tere dar se dab gai
dekha mujhe ki jhuk gai mizan hisab ki

zarra hawa mein bhar ke bana aadmi ki shakl
qatra hawa mein bhar ke hai surat habab ki

chakkar hawa ne itne diye hain ki gard-e-baad
taswir ban gaya hai mere pech-o-tab ki

sae se us ki zulf ke bint-e-inab ko kya
ban kar pari udegi ye botal sharab ki

ye kah ke kal dikhae unhen para-e-jigar
bikhri hui ye pankhudiyan hain gulab ki

har sham sath lati hai ek chaudhwin ka chand
kya jaanen kya karengi ye raaten shabab ki

kam-bakht ne sharab ka zikr is qadar kiya
waiz ke munh se aane lagi bu sharab ki

do ghunt par sharab ke hai hasr zindagi
raaten shabab ki hain na baaten shabab ki

kaam aaegi 'riyaz' ke mashq-e-tawaf-e-khum
kabe ke gird honge jo sujhi sawab ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close