ye teri sard-mehri ye teri kaj-adai

ye teri sard-mehri ye teri kaj-adai
ek husn-e-dil-farebi ek shan-e-dilrubai

aalam se tera chhupna hai aalam-ashnai
pinhan hijab mein hai andaz-e-khud-numai

ai ishq-e-fitna-saman teri samajh kahan hai
masum husn ke sar ilzam-e-bewafai

us dar ka koi sajda maqbul ho ajab kya
kuchh hum bhi aaj kar len taqdir-azmai

dhaare pe bahr-e-gham ke be-khauf ja rahe hain
kashti nahin hamari muhtaj-e-na-khudai

ai khak-e-rah-e-manzil ab tujh pe bar hain hum
hum ko bitha chuka hai ranj-e-shikasta-pai

uthwa raha hai mujh ko 'nudrat' kisi ke dar se
ye zauq-e-sajda-rezi ye shauq-e-jibha-sai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close