ye umr guzri hai itne sitam uthane mein ki khauf aata hai agla qadam uthane mein zamin ka mujh se hawala bhi tut paya nahin main sarfaraaz raha tera gham uthane mein har ek shai pe hai yaksaniyat ka ghalba kyun ye imtiyaz-e-wajud-o-adam uthane mein chamak ke kucha-e-qatil mein neze kya karte ki josh-e-khun tha hamare qalam uthane mein tumhaari yaad bhi aai to kis tarah aai hayat ruk si gai chashm-e-nam uthane mein shikast kha na saka mera lafz-e-haq 'rashid' main be-khatar raha us ka alam uthane mein