ye wahime bhi ajab baam-o-dar banate hain hawa ki shakh pe khushbu ka ghar banate hain kaf-e-khayal pe aks-e-nashat-e-rang tera nahin banane ka yara magar banate hain ye mashghala hai tere aashiyan paraston ka ki zer-e-dam pade baal-o-par banate hain wo apni marzi ka matlab nikal leta hai agarche baat to hum soch kar banate hain main jab bhi dhup ke sahra mein ja nikalta hun wo hath mujh pe dua ka shajar banate hain meri misal hai un sabz shakhchon jaisi jo dhup kat ke malbus zar banate hain hum us ko bhul ke karte hain shairi 'tabish' kamal-e-be-hunari se hunar banate hain