ye wo yaqin hai jo uljhe yaqin se nikla hai hamari han ka ye dhaga nahin se nikla hai ye dil hai sab se bada bhik mangne wala pa zindagi ka khazana yahin se nikla hai tere liye jo yaqin dil mein aa gaya tha mere wo sanp ban ke meri aastin se nikla hai falak ki chah mein jhuta yaqin zaruri hai ye man lo ki sitara zamin se nikla hai jahan main dub gaya aur dubta hi gaya samundaron ka samundar wahin se nikla hai mujhe panah mere dil-nashin ne di hai sada mera makan mere hi makin se nikla hai ye khar-e-ishq hai 'akhtar' maza hi deta hai agar chubha to kahan ye kahin se nikla hai