ye wusat-o-imkan ki had hai mere nazdik wo khud hi azal khud hi abad hai mere nazdik is waqt falak zine se badh kar nahin mujh ko is waqt tera qamat-o-qad hai mere nazdik chup hun ki mera khwab hai idrak se bahar khush hun ki meri aankh sanad hai mere nazdik daryuza-gar-e-ishq hun kasa hai meri jaan har lamha meri zat ka rad hai mere nazdik madfun hai ek ruh meri khak mein 'ahmad' ye jism faqat ek lahad hai mere nazdik