ye zamin hun wo aasman bhi hun main yahan bhi hun main wahan bhi hun martaba mera jo bhi hai so hai bahut achchha hun main jahan bhi hun mujh se bahar mera suragh nahin main ki manzil bhi hun nishan bhi hun tan-e-tanha bhi gamzan hun aur sath sab ke rawan-dawan bhi hun mujh se mere siwa na kuchh bhi mang main safar bhi hun armughan bhi hun zara aage nikal ke dekhun agar main koi yaad-e-raftagan bhi hun zindagi ki hun be-nishani bhi main kisi gor ka nishan bhi hun fakhr bhi hai ki phir bhi hun 'betab' apni hasti se bad-guman bhi hun