yun achanak kisi ki yaad aai dil mein bajne lagi hai shahnai kyon ye dil us gali mein jata hai jis mein hai har qadam pe ruswai us ki har ek ada nashat-angez khamushi us ki ek ranai husn ka raaz to khula hi nahin hain shab-o-roz sab tamashai phul banti hain bas wahi kaliyan chum leti hai jin ko purwai fasle darmiyan mein kitne hain main kahan aur kahan wo harjai katte kaise zindagi hum log gar na hote tere tamannai dil ne har bar tera nam liya koi surat agar nazar aai mausam-e-gham bataen kya hai 'asar' kam-sinon ki jawan angdai