yun bhi jab tak gham se mar nahin jata main raat gae tak laut ke ghar nahin jata main dekhta rahta hun tujh ko us lamhe tak! jab tak sara dard se bhar nahin jata main utni der sametun sare dukh tere jitni der ai dost bikhar nahin jata main tere gham ka bojh uthaunga jab tak koh-e-gham se par utar nahin jata main maut se aage tak ke manzar dekhe hain tanhai se yunhi dar nahin jata main 'naim' us se main apne sare dukh kahne sochta to rahta hun par nahin jata main