yun dil-e-diwana ko aksar saza deta hun main apni barbaadi pe khud hi muskura deta hun main apne dil ke khun se wo gul khila deta hun main regzaron ko gulistan ki ada deta hun main aisi manzil par mujhe pahuncha diya hai ishq ne mera jo qatil hai us ko bhi dua deta hun main kyun kisi ka nam le kar ishq ko ruswa karun apne dil ki aag ko khud hi hawa deta hun main zikr yun karta hun apne gham ka apne dard ka hosh walon ko bhi diwana bana deta hun main kya guzarti hai mere dil par khudara kuchh na puchh dushmanon ko jab talak ghar ka pata deta hun main apni hi aawaz khud lagti hai mujh ko ajnabi jab akele mein kabhi tujh ko sada deta hun main nashtar-e-yaad-e-gham-e-jaanan se 'qaisar' in dinon zakhm jo sote hain un ko phir jaga deta hun main