yun dur dur dil se ho ho ke dil-nashin bhi hain to isi jahan mein milte nahin kahin bhi kam ek qabr se hai mujh ko ye kul zamin bhi mar rahne ka thikana milta nahin kahin bhi tufan-e-bahr khud hain badhti umangen dil ki kashti qarar legi ho kar na tah-nashin bhi imkan ki had ke andar koshish ki had se bahar dil jis ko dhundhta hai wo hai bhi aur nahin bhi ummid-e-dil ki fitrat hai be-niyaz taskin kam ho na be-qarari aae agar yaqin bhi bim-o-raja se dil mein dariya ka jazr-o-mad hai sahil-nawaz maujen aain bhi aur gain bhi ye multafit nigahen shewa wigha hai jin ka hain mojib-e-sukun bhi hangama-afrin bhi kar pahle dil pe qabu jame ki phir khabar le daman bachane wale jati hai aastin bhi khatre mein jaan jis se wo jaan se bhi pyara rangin-ezar shoala qatil bhi hai hasin bhi sar-gashta-e-mohabbat dar-e-mehan mein phir kar dekh aae gosha gosha rahat nahin kahin bhi nairangi-e-talawwun la-hal sa ek muamma samjhe jo tere tewar padh le khat-e-jabin bhi shan-e-ghurur un ki taswir ek rukhi hai aur aarzu ki nazren shaida bhi hain hasin bhi