yun hi har baat pe hansne ka bahana aae phir wo masum sa bachpan ka zamana aae kash lauten mere papa bhi khilaune le kar kash phir se mere hathon mein khazana aae kash duniya ki bhi fitrat ho meri man jaisi jab main bin baat ke ruthun to manana aae hum ko qudrat hi sikha deti hai kitni baaten kash ustadon ko qudrat sa padhana aae aah sahsa kabhi school se chhutti jo mile chikh kar bachchon ka wo shor machana aae aaj bachpan kahin baston mein hi uljha hai 'sahab' phir wo titli ko pakadna wo udana aae