yun kisi baat se ab dar nahin lagta mujh ko wahi hota hai jo aksar nahin lagta mujh ko phul lagta nahin hargiz tere honton ki misal sarw tujh qad ke barabar nahin lagta mujh ko koi talab na mahtab-e-shab-e-wasl ka aks ye mere khwab ka manzar nahin lagta mujh ko jaane kya ramz hai lagta nahin sahra sahra aur samundar bhi samundar nahin lagta mujh ko dar-o-diwar se pahchan badhaun kaise jab mera ghar hi mera ghar nahin lagta mujh ko baithe rahna hai 'fida' rahguzar mein yani aa ke jab tak koi patthar nahin lagta mujh ko