yun lag raha hai main bhi samajhdar ho gai sahra mein aandhiyon ki taraf-dar ho gai dil ki zamin ne marka jhela na tha kabhi dhadkan sahar se pahle azadar ho gai aawaz de ke rokna chaha use magar main bad-nasib aaj hi khuddar ho gai dagh-e-jigar se aankh ka kajal bana diya main apni dastan ki adakar ho gai dar-o-rasan se rabta mera na tha magar kya kijiye ki maut wafadar ho gai