yun mujhe aap se ab karti hai taqdir juda jis tarah jang mein ho qabze se shamshir juda mas ke zar hone se behtar hai kamal-e-insan khaksari hai juda aur hai iksir juda ja-e-dandan lab-e-sofar hue ai qatil dahan-e-zakhm se hoga na tera tir juda maraz-e-ishq mein pith apni ye bistar se lagi na kabhi safha se jis shakl ho taswir juda ai junun panw hain jab tak ye tamanna hai mujhe kabhi manind ragon ke na ho zanjir juda chhodun kya piri mein shirin-dahanon ki sohbat nahin mumkin ki hon mil kar shakar-o-shir juda kahte hain dekh ke zulf us ke rukh-e-taban par kabhi hota nahin us shama se gul-gir juda jab judai ke mazamin mujhe sujhe hain harf se harf hua hai dam-e-tahrir juda kyun na ho jalwa-e-khurshed se sae ka wajud kya tere chehre se ho zulf-e-girah-gir juda mujh giraftar-e-judai ke jo panw mein padi ho junun halqe se har halqa-e-zanjir juda main ne jo dard-e-judai se kiye hain nale kijiye tan se mera sar pa-e-tazir juda tegh-e-ahan se siwa hai burish-e-tegh-e-zaban haq ko baatil se karegi teri taqrir juda aashna muttahid is darja kahan hote hain aap dil-gir hai 'nasikh' jo hai dil-gir juda