yun to kam kam thi mohabbat uski

yun to kam kam thi mohabbat us ki
kam na thi phir bhi rifaqat us ki

sare dukh bhul ke hans leta tha
ye bhi thi ek karamat us ki

uljhanen aur bhi thin us ke liye
ek main bhi tha musibat us ki

pahle bhi pine ko ji karta tha
mil hi jati thi ijazat us ki

khwab mein jaise chala karta hun
dekhta rahta hun surat us ki

nam rahta hai zaban par us ka
ghar mein rahti hai zarurat us ki

us ki aadat thi shararat karna
kash ye bhi ho shararat us ki

phailte badhte hue bistar mein
dhundhta rahta hun qurbat us ki

ek bosida sa ghar chhod gai
le gai sath wo jannat us ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close