yun to milne ko ek zamana mila na mila han wo bewafa na mila aashnai mein kuchh maza na mila aashna dard-ashna na mila jab mile wo khiche tane hi mile lutf milne ka ek zara na mila ham-nawa sab khizan ke aate hi aise patta hue pata na mila kho ke dil ko hum is qadar khush hain jaise qarun ka khazana mila shad kya hun husul-e-jannat par ki rupae mein se ek aana mila aashiqi kya hai sach jo puchho to hum ko marne ka ek bahana mila zindagani thi ya pareshani sab kiya aur kuchh maza na mila roiye us ki bad-nasibi par dhundhne par jise khuda na mila mujh se milne mein kya burai hai aap ke dil ka muddaa na mila mil gaya dil jo hum se milna tha aankh ab hum se to mila na mila khich ke milna bhi koi milna hai ek hai wo jo yun mila na mila phir samai safi' se milne ki kyun tumhein koi dusra na mila qadr karta hun apni aap safi' wah mujh ko bhi kya zamana mila