yun us pe meri arz-e-tamanna ka asar tha jaise koi suraj ki tapish mein gul-e-tar tha uthti thin darichon pe hamari bhi nigahen apna bhi kabhi shahr-e-nigaran mein guzar tha hum jis ke taghaful ki shikayat ko gae the aankh us ne uthai to jahan zer-o-zabar tha shanon pe kabhi the tere bhige hue rukhsar aankhon pe kabhi meri tarah daman-e-tar tha khushbu se moattar hai abhi tak wo guzargah sadiyon se yahan jaise bahaaron ka nagar tha hai un ke sarapa ki tarah khush-qad o khush-rang wo sarw ka pauda jo sar-e-rahguzar tha qatre ki tarai mein the tufan ke nasheman zarre ke ahate mein bagulon ka bhanwar tha is aadam-e-khaki pe sitaron ki nazar thi is khak pe kuchh jalwa-e-yazdan ka asar tha main roya to hansne ki sada aai kai yar wo jaan-e-tamanna pas-e-diwar-e-nazar tha 'danish' tha ikahra mera pairahan-e-hasti be-parda zamane pe mera aib-o-hunar tha