zaban ko band karen ya mujhe asir karen mere khayal ko bedi pinha nahin sakte ye kaisi bazm hai aur kaise us ke saqi hain sharab hath mein hai aur pila nahin sakte ye bekasi bhi ajab bekasi hai duniya mein koi satae hamein hum sata nahin sakte kashish wafa ki unhen khinch lai aakhir-kar ye tha raqib ko dawa wo aa nahin sakte jo tu kahe to shikayat ka zikr kam kar den magar yaqin tere wadon pe la nahin sakte charagh qaum ka raushan hai arsh par dil ke use hawa ke farishte bujha nahin sakte