zabt ki koshish hai jaan-e-na-tawan mushkil mein hai

zabt ki koshish hai jaan-e-na-tawan mushkil mein hai
kyun ayan ho aankh se wo gham jo pinhan dil mein hai

jis se chaho puchh lo tum mere soz-e-dil ka haal
shama bhi mahfil mein hai parwana bhi mahfil mein hai

ishq-e-ghaarat-gar ne shah di husn-e-afat-khez ko
shauq-e-bismil hi se kas-bal bazu-e-qatil mein hai

kuchh samajh kar hi hua hun mauj-e-dariya ka harif
warna main bhi jaanta hun aafiyat sahil mein hai

khud tujhe aa jaega aashiq-nawazi ka khayal
tera rahraw kyun khayal-e-duri-e-manzil mein hai

muddaa-e-ishq mera kuchh nahin juz zauq-e-ishq
husn ko hairat ki ye kis sai-e-be-hasil mein hai

apni shan-e-be-niyazi par tumhein kya kya hain naz
kash tum us shauq ko jaano jo mere dil mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close