zakhm-e-hasti kisi marham se bhi achchha na hua kisi surat se ilaj-e-gham-e-farda na hua mere jazbaat ham-ahang-e-taqaddus hi rahe yani kirdar ka daman kabhi maila na hua ghar mein ek ped lagaya tha zamana guzra lekin afsos mayassar kabhi saya na hua raat to guzri magar subh numayan na hui wo bhi din the ki kabhi ghar mein andhera na hua han ba-zahir to rahe anjuman-ara hum log par haqiqat mein koi hum se shanasa na hua kis tarah phir koi ummid-e-karam ho dil mein jabki andaz-e-sitam hausla-afza na hua faeda kya hai hawaon se ulajhne mein 'ziya' jab diya jalta raha aur ujala na hua