zakhm-e-ulfat ayan nahin hota aankh se khun rawan nahin hota husn ko sirf wahm hai warna ishq to bad-guman nahin hota koi manzil bhala qadam chume azm jab tak jawan nahin hota dekhiye to naqab ulat ke zara chand kab tak ayan nahin hota dekh kar gham-zada se kuchh chehre dard-e-dil kyun ayan nahin hota koh-o-sahra ho dasht-e-aiman ho guzar apna kahan nahin hota phul kaise wahan na khar lagen zikr tera jahan nahin hota main to kya dil bhi mera us ka hai jo kabhi mehrban nahin hota zor-e-tufan hai dur sahil hai nakhuda mehrban nahin hota raaz-dan kis ko kis tarah samjhun raaz-e-dil to bayan nahin hota sheriyat sher mein ho kaise 'nazir' zehn jab tak rawan nahin hota