zalim mere jigar kun kare kyun na phank phank sikha hai wo nigah ka pata aur ada ka bank pothi khayal-e-yar ki aai hai jab sin hat dil ke waraq pe tab seti likhta hun gham ki aank angushtari kun dil ki banaya hun nazr-e-yar lakht-e-jigar ke lal kun ulfat ka dekh dank aata hai yaad phul ke dekhe sin gul-badan aashiq ka chhilti hai jigar bulbulon ki hank jaan-e-jahan ka zauq agar hai tujhe 'siraj' pinhan nigah-e-ghair sin parde mein dil ke jhank