zamin apne lahu se aashna hone hi wali hai bahut kuchh ho chuka ab intiha hone hi wali hai sawa neze pe suraj aa gaya ab dekhiye kya ho qayamat ek do pal mein bapa hone hi wali hai meri aankhon talak shoala lahu ka aan pahuncha hai ye talkhi ab zaban ka zaiqa hone hi wali hai bahut din jagte khwabon ko aankhon se lagaya hai ye qurbat kuchh dinon tak fasla hone hi wali hai wahi gandum ka dana hai wahi hain is pe taziren main darta hun ki phir mujh se khata hone hi wali hai yahan se rasta koi kisi jaanib nahin jata yahin se ek safar ki ibtida hone hi wali hai khule the muddaton se be-sabab aankhon ke darwaze ye basti aaj kal mein be-sada hone hi wali hai mere ghar tak bhi aa pahuncha hai aakhir shor galiyon ka ye tanhai mere dil se juda hone hi wali hai gae-guzre dinon ki dhul ab aankhon se dho dalo koi surat kahin se runuma hone hi wali hai sitare khak-e-pa-e-admiyat banne wale hain ye mitti ab mere sar ki rida hone hi wali hai badalne ke liye betab hai 'shahzad' ye duniya rawa jo chiz tha ab na-rawa hone hi wali hai