zamin di hai to thoda sa aasman bhi de mere khuda mere hone ka kuchh guman bhi de bana ke but mujhe binai ka azab na de ye hi azab hai qismat to phir zaban bhi de ye kaenat ka phailaw to bahut kam hai jahan sama sake tanhai wo makan bhi de main apne aap se kab tak kiya karun baaten meri zaban ko bhi koi tarjuman bhi de falak ko chand-sitare nawazne wale mujhe charagh jalane ko saeban bhi de