zamin dil pe nai khulti hai ada-e-sukhan ki hum kuchh aur hi jaanen hain mawara-e-sukhan fasana-e-dil-o-jaan kis pe bar hota hai magar kabhi to sukhan chahiye bara-e-sukhan usi pe khulte hain aaraish-e-khayal ke dar hai jis ke aqd-e-iradat mein dil-ruba-e-sukhan tere baghair bhi ye guftugu mukammal hai tere baghair bhi khali nahin sara-e-sukhan saje-sajae makan pal mein ho gae mismar bayan-e-dard ki kis tarah tab lae sukhan ba-juz hawa-e-hunar kuchh nahin mata-e-hayat hamare baad kahenge sabhi ki hae sukhan