zamin kahin bhi na thi chaar-su samundar tha kise dikhate bada haul-nak manzar tha ludhak ke meri taraf aa raha tha ek patthar phir ek aur phir ek aur bada sa patthar tha fasilen dil ki giraata hua jo dar aaya wo koi aur na tha khwahishon ka lashkar tha bula raha tha koi chikh chikh kar mujh ko kuen mein jhank ke dekha to main hi andar tha bahut se hath ug aae the meri aankhon mein har ek hath mein ek nok-dar khanjar tha wo jangalon mein darakhton pe kudte phirna bura bahut tha magar aaj se to behtar tha hamare waste 'alwi' ke sher kya kam hain chalo qubul ki 'ghaalib' bada sukhan-war tha