zamin khatm hui sar par aasman na raha isi ke sath koi khauf-e-imtihan na raha hamare ishq ka koi gawah zinda nahin azab-e-hijr tha ab wo bhi darmiyan na raha tamam-raat sitare hamin ko dekhte the tilism-e-zat se nikle to ye jahan na raha fasil-e-shahr pe shab-zinda-dar rahte the hujum-e-shahr mein aisa koi jawan na raha ye zindagi hai to hum zindagi se baz aae wo jaan kya ki jahan jaan ka ziyan na raha tamam lafz hain tafhim-e-nau pe aamada qayamaton se guzarna bhi na-gahan na raha bas ek saliqa-e-tajsim khwab tha magar ab siwae sina-e-sad-chaak kuchh nishan na raha miyan-e-gardish-e-aflak tu bhi khush ho ja malal hum ko bhi ai sai-e-raegan na raha kharab-o-khasta-o-asudagan-e-manzil bhi nawed-e-jashn ki 'haqqi' ka karwan na raha