zamin mein raunaqen jitni hain aasman mein nahin yaqin mein jo ujala hai wo guman mein nahin qubul-e-am ka darja bayan ko mil jata ada-e-husn-e-ta’alluq meri zaban mein nahin ba-har usul qafas hi ki ek surat hai agar sukun ka tasawwur hi aashiyan mein nahin zara nazar se hijab-e-nazar to uthne do usi makan mein milenge wo jis makan mein nahin wo mere raaz chhupaega har tariqe se abhi khulus ka ehsas tarjuman mein nahin ab un se rabta qaem rahe to kaise rahe koi nibah ki surat hi darmiyan mein nahin kise bataun ki sar par ghamon ka suraj hai ye waqt wo hai ki saya bhi saeban mein nahin kisi ka ghar ho wahan se gurez behtar hai jahan shuur-e-mudaraat mezban mein nahin chaman ka dard use kis tarah se hoga 'siraj' ki jab watan ki mohabbat hi pasban mein nahin