zamin meri thi aur aasman mera tha ye kal ki baat hai sara jahan mera tha jahan se rah nikali hai aaj logon ne isi sadak ke kinare makan mera tha main aaj sae ki hasrat liye bhatakta hun bulandiyon pe kabhi saeban mera tha dahakti ret hai rahon mein aaj to kya hai qadam qadam kabhi jannat-nishan mera tha mila jo nutq use bat gaya hazaron mein wo jab talak bhi raha be-zaban mera tha main chehra chehra use dhundhta raha lekin wo samne tha ajab imtihan mera tha jahan mein aaj hun maqtul-e-be-gunah 'nazir' har ek shakhs wahan pasban mera tha