zamin sahra ki ek ik bund ki KHatir tarasti hai

zamin sahra ki ek ek bund ki khatir tarasti hai
tu ai barsat kyon ja kar samandar par barasti hai

na uncha aasman tera na nichi hai zamin meri
faqat ek fasla hai bas bulandi hai na pasti hai

hamein ai shaikh har but mein khuda ka nur dikhta hai
hamari but-parasti dar-haqiqat haq-parasti hai

yahan har ek qadam par maut ka saman bikhra hai
darindo mat yahan aana ye insanon ki basti hai

khule jo raaz-e-hasti to na jaane kya ho hangama
hai hasti tab talak jab tak nihan ye raaz-e-hasti hai

amiri ka ho aalam ai 'sada' ya tang-dasti ka
raza mein us ki rahna sikh phir masti hi masti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close