zara si an-ban mein ruth kar wo jo dushmanon mein tahal rahe hain abhi jo nauha bane hue hain kabhi hamari ghazal rahe hain bina batae chala gaya tha bata ke milne jo aa gaya hun to ruth kar wo gae hain ghar mein khushi se chhup kar uchhal rahe hain maraz hua hai mohabbaton ka ye raat kaise kategi jaane hamari ninden bhi ud chuki hain sanam bhi karwat badal rahe hain wikas ki hai ajib sweater buni na sattar baras se ab tak gharib bunte hain jis ko har din amir jis ko ukal rahe hain jo khun bahae bane masiha jo jhut bole bane wo hatim wo aala qadren kahan gain sab usul sare badal rahe hain wo ban ke dajjal yun utha ke khuda samajh kar bahak gae sab hai shukr kuchh ko shuur aaya hai shukr ab kuchh sambhal rahe hain ye sakht nafrat ye qatl-o-ghaarat ye mahngi ashiya ye jhut wade shikar kab tak jiyega aakhir wo tir kitne badal rahe hain bahut se danon hue hain jag mein magar ye 'azhar' bada hai sab se chhupe hain dar se jo dewta hain awam ke dil dahal rahe hain