zat ka meri jo chehra hota mere ghar mein nahin shisha hota ye kuan itna na gahra hota jo kisi ne kabhi jhanka hota tum ne paude ko tha sae mein rakha dhup mein rakhte to zinda hota jo andheron mein ujale palte to ujalon se andhera hota tu haqiqat tha nazar aaya nahin khwab ban jata to dekha hota tu jo aansu na bana hota agar aankh se meri na tapka hota us ke man bap nahin hai shayad warna us mein kahin bachcha hota teri mahfil ye na hoti jo 'nawa' tu kahin kone mein baitha hota