zat-o-sifat ka teri raaz ayan nihan bhi hai

zat-o-sifat ka teri raaz ayan nihan bhi hai
dil mein yaqin ki shakl hai aankh mein to guman bhi hai

waqt ki maslahat se kuchh main hun khamosh warna aaj
khama-ba-dast hi nahin munh mein mere zaban bhi hai

mera tajassus-e-hawas mujh ko bandha raha hai aas
jism ke is jahan se dur ruh ka ek jahan bhi hai

jis mein gham-e-jahan faqat surat-e-yak-habab hai
dil mein wo tera jazb-e-shauq qulzum-e-be-karan bhi hai

wusat-e-arsh-o-farsh mein azm-o-amal se aadmi
simte to ek zarra hai phaile to ek jahan bhi hai

'raaz' ba-ghaur dekh tu sar se bashar ko panw tak
sang bhi hai sharar bhi hai aag bhi hai dhuan bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close