zawal-e-azmat-e-insan ka marsiya hun main sar-e-kashida pe dastar-e-be-ana hun main sag-e-zamana se aage nikal gaya hun main ab apne samne tanha khada hua hun main mere wajud mein dar aaya kaisa sannata ki reg-zar mein gum-gashta ek sada hun main dubo na de kahin mujh ko bhi tishnagi ka safar ki reg reg sarabon ka silsila hun main idhar se ho ke koi mehrban hawa guzre dayar-e-habs mein sadiyon se ghut raha hun main jise mili hai saza harf-e-haq sunane ki salib-e-lab pe wo thahri hui sada hun main khada hua hun harifon mein sar jhukae hue ki apne aap se ab ke bahut juda hun main na koi aks-e-munawwar na manzar-e-khush-rang ye kaise khwab ke bistar pe so raha hun main ajib aandhi hai ye jism-o-jaan ki aandhi bhi mujhe sambhaal bikharne se dar raha hun main kabhi na chhu saki bab-e-asar dua meri ajib qahr-e-musalsal mein mubtala hun main mujhe barasne ki taufiq de mere allah ki abr ban ke zamane pe chha gaya hun main na chhu saki mujhe hirs-o-hawas ki parchhain khuda ka shukr qanaat se aashna hun main rafugaran-e-hunar 'naz' be-namak the magar phir apne zakhm ko shadab dekhta hun main