zehn-o-dil par ghamon ke sae hain

zehn-o-dil par ghamon ke sae hain
jo the apne wahi parae hain

rang bharne ko jazb-e-ulfat ka
hum ne khake kai banae hain

rah se main bhatak nahin sakta
waqt ne rukh nae dikhae hain

aap ke ishq mein yaqin kije
saikdon ranj-o-gham uthae hain

jin se tauhin thi wafaon ki
raaz sine mein wo chhupae hain

aa gai baghban pe har tohmat
aashiyan barq ne jalae hain

log kahte hain sunne walon ne
sher 'adil' ke gungunae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close