zer-e-zamin rahun ki tah-e-asman rahun ai justuju-e-yar bata main kahan rahun masruf-e-shukr-e-nemat-e-pir-e-mughan rahun allah mujh ko yun hi pilae jahan rahun ghul kar bhi jaanib-e-dar-e-pir-e-mughan rahun mauj-e-sharab-e-nab banun aur rawan rahun ya-rab hariq-e-shoala-e-ishq-e-butan rahun dozakh ki aag le ke muqim-e-jinan rahun zalim ye bazm-e-husn ka achchha riwaj hai tu shama ho ke bhi na jale main tapan rahun ai chashm-e-yar maut ka pahlu bacha ke tu aisi nigah dal ki main nim-jaan rahun aab-e-hayat pi ke khizar kya yahan rahe main than lun to kuchh na piyun aur yahan rahun ban jaen meri tarz-e-fana ki kahaniyan aisa mita ki sahib-e-nam-o-nishan rahun saqi wo khas-taur ki talim de mujhe us mai-kade mein jaun to pir-e-mughan rahun 'muztar' wajud-e-zat ne ghar tak bhi le liya jab khud wo har jagah hai to ab main kahan rahun