zindagani ki masarrat bhi juda humse hui

zindagani ki masarrat bhi juda hum se hui
jurm ye tha ki na tardid-e-khuda hum se hui

hum gunahgar sahi phir bhi tere bande hain
har shab-e-gham mein khuda teri sana hum se hui

sar uthate hue chalte rahe sahraon mein
kisi haalat mein na majruh ana hum se hui

koi aisa tha jo kahta na buron ko bhi bura
bas tere shahr mein ye rasm ada hum se hui

hum to bas tere sahaare hi chale hain ab tak
jaane kyon aaj tu bargashta saba hum se hui

half le kar jo katahre mein gae hum 'khurshid'
tera hi nam liya itni khata hum se hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close