zindagi-bakhsh samar shakh mein kam aate hain ab ke mausam mein jo aate hain to gham aate hain din-o-iman se gharaz hai na riwayat ka pas tel ki khoj mein europe ke sanam aate hain dil ki wahshat na gai zakhm ka tanka na khula us ki mahfil se bhi ba-dida-e-nam aate hain ba-khabar ai chaman-e-hind ke khush-rang tuyur dana-o-dam liye ahl-e-karam aate hain shab-gazidon se koi ja ke kaho mat ghabraen parcham-e-subh uthae hue hum aate hain kis gharane se talluq hai hum ahl-e-dil ka khair-maqdam ke liye dair-o-haram aate hain jab se bazar mein bikne lage fankar 'niyaz' mujh se arbab-e-qalam shahr mein kam aate hain