zindagi gham ke andheron mein sanwarne se rahi ek tanwir-e-hayat aaj ubharne se rahi main payambar nahin insan hun khata-kar insan arsh se koi wahi mujh par utarne se rahi main ne kar rakkha hai mahsur chaman ki had tak shakh-dar-shakh koi barq guzarne se rahi lakh afkar-o-hawadis mujhe raunden badh kar jo wafa mujh ko mili hai kabhi marne se rahi aadmi kitne hayule hi bana kar rakkhe maut phir maut hai jab aai to darne se rahi aakhiri waqt hai mukhtal hue jate hain hawas aise mein meri khudi kaam to karne se rahi gher rakkha hai har ek samt se tufanon ne meri kashti to kabhi par utarne se rahi 'sadiq' us mod pe le aate hain haalat hamein mauj-e-ehsas zara aaj thaharne se rahi